Friday, May 27, 2011

A Thought From HEART

Ek chhota sa sapna mera,
pura karne ko dil chahe!!




sochta hu har ghari ,
ki kab hoga wo apna mera...
ek chhota sa sapna mera ,
pura karne ko dil chahe....


Us sapne ko pura karna,
hi hai jiwan ka maksad mera...
ek chhota sa sapna mera,
pura karne ko dil chahe....


karu mai koi aisa kaam ,
ki papa garv se bole TU beta hai mera...
ek chhota sa sapna mera ,
pura karne ko dil chahe...


Rakhu hamesha kush mai sabko,
ki haste hasate kat jaye ye jiwan mera...
ek chhota sa sapna mera,
pura karne ko dil chahe.....

No comments:

Post a Comment