Wednesday, November 11, 2015

Happy Diwali

Aaj subah se kitni baar bola hoga aap sabne... hai na....actually aaj subah se kyu.. kuch din pahle se hi advance me bolna suru kar diya tha hum sab ne....Hai na..
Anyways.... Aaap Sabhi ko Diwali ki hardik subhkamanye...

Aap soch rhe honge ki aaj k din mai blogging kyu kar rha hu..mujhe patakhe jalane chahiye...masti karna chahiye... festival enjoy karna chahiye....
Mai Apko batana chahunga ki mai festival hi enjoy rha hu..Khusiyon ka festival ....apne tarike se...

Ap to jante hi honge ki  Diwali ka festival manane k bahut se philosophies hai.. I am not going to remind all.. but agar zest nilaka jaye to ye pata chalta hai ki hum Jhut k upper sach ka vijay hone ki khusi manate hai.. hai na???
Agar Dekha jaye to Diwali ya DEEPAVALI ka meaning lighting hota hai.. kyu ki agar Deepawali ....Deep aur Aawli se mil k bana hai.. aur Deep mean Diya and Aawli means rows/series... means Series of Deeps ...English me Deepavali ko Festival of Lightings v bolte hai...

Ye humari bahut purani parampra hai.. jo hum follow karte aa rhe hai.... Mana jaata hai ki Diwali ki raat laxmi mata ji dharti pe aati hai...so hum unka swagat Lighting se karte hai...

Agar current Scenario ki baat ki jaye to..Scenario ye hai ki... hum apne padhosi ko nhi pahchante...pahchane v kyu...Hume aur v bahut sare kaam hai....
Hamara EGO hume bahut pasand hai.... hum wait karte hai ki samne wala wish kar to hum karenge.. warne hume kyaa....Din bhar koi v dress pahen k normal life jaise rahenge... but jaise hi sham hua.... Diwali ka enjoyment suru.... Hum insaan v machine ho gaye hai.... khus v time hone se hote hai.....

Uske baad aati hai.. Diye jalane wali baat.... to.... Diye jalana is old fashion yaar.... hum to candles jala dete hai.. warna lightings is best.... but bhagwan k pass to Ghee wale Diye hi Jalenge... aur wo v panch..kam nhi hona chahiye ....aur haan... Ek to raat bhar jalna chahiye....Baki jagah to bas u hi...lightings hone se matlab hai na...Bahut khusi ki baat hai ..Humne apne aap ko time k sath change kar liya hai...

Lekin Jab baat Patakhe ki ho to andar excitement aa jata hai...Bahut sare plans hote hain dimag me jaise.... “Aaj to aag laga dena hai” ,  “Bade bade bomb launga jis se sabke kaan fat jaye”, “ Iss baar to patakhe ki sabse badi wali Lari lana hai.. Sharmaji k ghar se mishra ji ghar jaye aur sabke dhoti me aag laga de”  aur bhi bahut ...bla bla bla....
Sach batau to Mujhe ye samajh me nhi aaya.. ki Hum patakhe kyu jalate hai...

Ye janne k liye maine ek chota survey karne ka kosis kiya.... maine kuch logo se pucha wo patakhe kyu jalate hai... answers v bahut interesting tha....
Bahut logo ne kaha...Parampara hai humara .....Sadiyo se chala aa rha hai.... khusiyaan manate hai patakhe jala k....
Kuch logo ne kaha to kuch aur... but meaning ye nikala ki ...Unko apna status dikhana hai....
Maje ki baat hai.. kuch logo ko to pata hi nhi... wo to iss liye jalate hai kyu ki sabhi jalate hai...

Kya aapne kabhi socha hai...ki aap Diwali me Patakhe kyu jalate hai... Parampara nibhane ya Dikhawe k liye...?

Kabhi Kabhi mujhe lagta hai ki.... Diwali is no more about the message of right over wrong..yaa Dhan ki Devi Laxmi mata se aasirwad lene k liye nhi manate... balki Diwali ek competition hai.... ye prove karna ka.... ki kaun kitna karch kar sakta decoration me...ya kaun kitna patakhe jala sakta hai...?
Kuch log to apne mehanat k kamayi ki bada hissa patakhe me kharch kar dete hai... kabhi kabhi to baad me pachtawa v hota hai.. ki kuch jayada hi kharch ho gaya...

Aur ye patakhe k brand v mast mast hote hai...Murga brand, laxmi brand, Standard brand , Mirchi Brand, Success Brand,  Turkey Brand aur v bahut sare....
Apne sayad dekha hoga Laxmi Brand k jitney v patakhe hote hai un sab pe laxmi ji ka photo hota hai.... Literally koi kaise bhagwan k photo me aag laga ..Unke photo k chithde chithde udane k baad khusi mana sakta hai.... Hum unhi ki puja karta hai aur unke photo ki hi...
    
Patakhe (Firecrackers) k bahut types hote hai... usme ek bomb hota hai.... aur mai ye v bata du ki hum patakhe jalate nhi fodte hai... I mean ... BOMB aur fodna ... ye dono words ko kaha positively use kiya jaa sakta hai.... ye galat ko hi indicate karte hai...Agar mai un bade binasak bombs aur in chote bombs k  similarities k bare me sochu to ... Done me hi barud hota hai...dono hi blast hote hai...dono se sound aata hai.... dono se log ghayal hota hai... bas fark itna hai ki bade wale bomb me jayada aur chote wale me kam...Usme jaan chali jaati hai aur isme hath jal jata hai.. aankh kharab ho jata hai.. aur v bahut kuch.. you know better then me...

Kya apne kabhi kisi rupayon k gadi me aag lagate dekha hai... aur aag lagane k baad us admi ko haste hue....agar nhi.. then I will request you ki patakho me aag lagate samay jinhone photos click karaye hain.. use ek baar dekhiye....apkowo aadmi dekh jayega....

Abhi tak jo padha wo personal effect the... abhi dekhte hai social and economical effects of firecrackers.....
Agar Delhi ki baat kiya jaaye...(Kyuki India ka Capital hai)
Apko to pata hi hoga ki World Health Organisation (WHO) k survey k anusaar... Delhi is the most polluted city in the world...sayad aap soch rhe honge ki hume kyaa .. hum to delhi me nhi rahte....agar aap aisa soch rhe hai to ye v sochiye na ki Delhi National Capital City hai.. Aapko kabhi na kabhi waha jana hi hoga...aur aaj Delhi hai.. kal aapka v city ho sakta hai...

According to System of Air Quality and Weather Forecasting and Research (SAFAR)  which comes under Ministry of Earth Science , Diwali k agle din.. Delhi k logo ko ghar se nhi nakalna chahiye... Pollution level peak pe hoga... aur SAFAR ne ye v  bataya ki har saal diwali me pollution level badh jata hai...Due to firecrackers only...

Pata hai... Winters k samay, Hawa dense aur foggy ho jata hai aur inke chhote chhote particles atmosphere me fansh jate hai... aur to aur patakho k toxins ..lungs ka damage karne k liye kafi hote hai..

Recently Delhi Pollution Control Committee ne patakho k samples check kiya .. Paya gaya ki usme se jayada Explosives Rules 2008 k khilaf banaye jaa rhe hain...kyu ki uske manufactures, Package pe chemical composition nhi dikhate hai... maje ki baat ye hai ki ...Rangbirangi bombs me bahut jayada harmful chemicals use hote hai (to make it effective and colourful)... iss se acha to wo chakri aur churchuri hi achha tha jo hum bachpan me jalate the.

Iss sab k bawjud...agle saal fir se wahi tension...wahi kharch sayad jayada hi... aur wahi soch...kyu ki ye to paramapara hai humara...
Mujhe ye samajh me nhi aata kis baat ki parampara hai ye.. kya Bagawan to nhi chahte ki Patakhe jalao...aur pollution fallawo... aur life ko barbaad karo...
Khusiyoon ka festival hai khusiyoon se manayiye...

Agar aap mujhse suggestion mangte to.. mai aapko bolta ki aap jo kharch patakhe k liye karne wale hai... usse paas k kuch garibo k ghar mithayiyaan de dijiye... agar budgut jayada hai .. to unke bachho ko kapde aur un sab ko ek time achha khana khila dijiye... unke face pe jo khusi hoga aur unke mann me apke liye duwaye.... wahi aapka return gift hoga... Agar aap society me rahte hai to sab mil k Bhandara laga sakte hai....ya aur kuch ....jis se aapko andar se khusi ho... na ki dikhawe wali khusi...
To kyu na Diwali to kuch naya kare... SOMETHING DIFFERENT... Diwali to Pollution free and environment friendly banate hai... Bas ek baar kar k dekhiye... Mazaa aaye... Real Khusi feel hoga....

Waise mai newspapers bahut kam hi padta hu... Lekin mujhe abhi tak yaad hai ki kuch saal pahle and garib ne diwali se kuch din pahle sucide kar liya tha..kyu uske 6 months se salary nhi mili thi aur usne apne bachho ko diwali me naya kapda dilane ka promise kiya tha... to Sayad hamare khusiyoon wali Diwali manane se kisi ki jindgi bach jaye...kisi k chahre pe khusi mil jaye...

Mujhe pata hai ki Padhne k baad aap soch rhe hai ki maine late kar diya blog likhne....Agar maine ye pahle likha hota to sayad aap iss baar  Khusiyon wali Diwali manate...

Agar dekha jaye to maine post me kuch naya nhi likha hai.... Sab aap pahle se v jante honge... bas kabhi socha nhi hoga.... Aap to jante hi hai.. ki Sudharne k liye galti pata hona jaruri hai.. aur Diwali to har saal aayegi... and There is always a next chance to change your self...

With a hope ki mera ye post ki ek ka v thought change kar de.. aur wo Diwali khusiyon k liye manaye.. na ki dIkhawe k liye.. mai likhna safal ho jayega...


A Very Happy  and Safe Diwali to you  and your family...

3 comments:

  1. Well said bro. People are changing gradually. They are celebrating happiness with others who need it. I hope the NGO, something different will be active soon and I am happy to be a part of it. Thank you.

    ReplyDelete
  2. Everything is correct bhaiya and people understand these things nowadays.. I proudly say that mine was a festival of lights and not bombs this deepawali.

    ReplyDelete